Bayaan
Mera Musafir
Kaalay baadlon se chaand yun
Kisko hai zameen pe taakta

Niklay rom rom se khushi
Layke aansunon ka raasta

Door ik nadi ke shor mein
Behti hai rawaan zindagi

Manchali hawa mein jhoomti
Raat ye kahay, "aane wali ab subha hai"

Ankhon mein jo roshni hai
Aane wala kal haseen hai
Intezaar jiska tha vo hai aagaya

Chahe jesi bhi dagar ho
Khouf ho na ab fikar ho
Humsafar qaraar dil ko dila gaya

Ek ehsaas hai, sardiyon ki dhoop si naram
Thaamay haath yun
Aik doosray ke saath hum

Paar us nadi ke waqt bhi
Muntazir hai raah mein khara
Manchali hawa ke dosh pe, rakh ke hum qadam
Ur chalein naye jahan mein

Ankhon mein jo roshni hai
Aane wala kal haseen hai
Intezaar jiska tha vo hai aagaya

Chahe jesi bhi dagar ho
Khouf ho na ab fikar ho
Humsafar qaraar dil ko dila gaya