Tifl, utho, aankhein kholo
Din charh aaya hai
Sooraj raah dikhanay ko
Kirnein laaya hai
Duniya sapnon ki dikhlaaoon
Ungli thaam ke
Chupkay se
Chal ankhein qadmon pe rakh ker
Pathhar koi larkhara day naa
Duur hai dair lagaygi par
Manzil yeh jaaega raasta
Kaisi jagah hogi
Jis ke hain raastay
Aise kathin aur duur?
Hongi wahan pariyaan?
Kya mujhse woh kheleingi?
Jhoola jhulaaengi?
Jaadu ke rangon se har su
Khushiyaan chaaengi
Jhoolay baad'lon k deingi
Pariyaan gaaeingi
Gungunaake
Chal ankhein qadmon pe rakh ker
Pathar koi larkhara day naa
Duur hai dair lagaygi par
Manzil ye jaaega raasta
Chal ankhein qadmon pe rakh kar
Pathar koi larkhara day na
Duur hai dair lagaygi par
Manzil ye jaaega raasta