Suno!
Ye fikar maangta hai
Sabar maangta hai
Ye tanhai ki dhoop mein jalta marta
Ye chaaon ka pyaasa shajar maangta hai
Suno!
Ke ye aasaan nahi hai
Ke beithay bithaaey, bina rasm toray, bina khoon' jalaey
Jo sadiyon se aqlon pe parday paray hain bina vo hataye ye milta nahi hai
Suno!
Gar khuda unka hai to phir vo kon hai jo mujhse mukhatib hai?
Jo meri harkaton pe mutmain nigaahon se shokh aise hansta hai
Muskurata rehta hai
Jesay maa ka dil apne nanhe se bachhe ke masoom ghusse pe pyaar ki phuaar se qehqahe lagata hai
Suno!
Ke ye zindagi to lamha hai
Lahma jisme tum bedaar ho, dil bedaar hai
Or tum DIL hi tou ho!
Lamha jo ke faani hai
Sabko mout aani hai
Tab naa rasm, naa vo log, naa vo soch, kuch nahi hoga
Aur yaad hoga bus vo pal
Jisme zindagi jee thi
Jisme dil ki suni thi..